Friday, 30 August 2013

THE GREAT carolus linnaeus



Carolus Linnaeus:- carolus linnaeus ka janm swiden mein hua tha! We peshe se doctor the lekin podho ke adhyan mein unki khasi dilchaspi thi! 22 year ki aayu mein podho par unka pahlaa shodhpatr prkashit hua! Ek dhani adhikari ke yhan nokri karte hue unhone apne malik ke bagiche mein podho ko vividhta ka adhayan kiya! Iske bad unhone sistema neturi naamak pustak likhi, jo aage chalkar vibhin vargikaran prnaliyo ka aadhar bani! Is vishaye par unke 14 shodhpatr bhi prkashit hue! unke dwara di gayi vargikaran prnali mein podho ko saral kram mein is prakar wyawsthit kiya ja sakta hai jisse unki pahchan ho sake!..,

No comments:

Post a Comment