Wednesday, 28 August 2013

THE GREAT THALES AND EUCLID




THE GREAT THALES AND EUCLID:- ek yunani garitagye thales ko kshrey jata hai ki unhone sabse pahli gyat uppati (proof) prdan ki! Yah uppati is kathan ki thi ki wrat ka wyas wrat ko samdwibhajit arthat do brabar bhgon mein vibhajit karta hai! Thales ka ek sabse prasidh sisya pythagoras(572 e.p) tha, jiska nam aapne awasye suna hoga! Pythagoras or uske sathiyo ne anek jyamitiye guno ki khoj ki or jyamiti ke sidhant ka atyadhik vikas kiya! Yeh prkirya 300 e.p tak jari rahi! Isi samay mishr mein alekjendia ke ek math ke shikshak euclid ne us samay tak gyat math ke sabhi gyan ko ekatrit kiya or elements naamak apne prasiddh granth ke rup mein use wywasthit kiya! Unhone elements ko 13 adhyaayo mein vibhajit kiya,jinme se prtyek ko 'pustika' maana jata hai! In pustikaon ne samast vishw ki jyamiti sambandhi samajh ko aane wali pidhiyon tak prbhawit kiya!....

No comments:

Post a Comment