Friday 30 August 2013

THE GREAT Camillo Golgi



Camillo Golgi:- camillo golgi ka janm 7 july, 1843 ko bresika ke samip kortno mein hua tha! Unhone pawia vishwavidhalye se medisin ka adhyan kiya! 1865 mein snaatak ke bad unhone pawia ke sent metio ke asptal mein adhyayan jari rakha! Us samay unki sari khoj tantrika tantr se sambandhit thi! 1872 mein mukhye chikitsa padaadhikar ka padbhar grah kiya! Unhone sabse pahle apni khoj is asptaal ke kichan mein tantrika tantr par ki! Unhone is chhoti-si kichan ko pryogsala banaa liya tha! unka sabse mahtwpurn karye yeh tha ki unhone akele tantrika or koshika sankhyao ko abhirangit karne ki krantikari vidhi prdan ki! Is vidhi ko"black riaction" ke naam se jana gayaa!is vidhi mein unhone silver naitret ke tanu ghol ka upyukt kiya tha! sara jivan we isi disha mein karye karte rahe or is vidhi mein sudhar karte rahe! Golgi ne apne shodh ke liye uchtam upadhi or puraskar prapt kiye! san 1906 mein inhen setiyago remoni kajaal ke sath sanyukt rup se tantrika tantr ki sanrachna karye ke liye nobel puraskar se sammanit kiya gayaa!....

No comments:

Post a Comment