Thursday 29 August 2013

THE GREAT Ernest Rutherford -

Ernest Rutherford - ernest rutherford(1871-1937) ka janm 30 Aug, 1871 mein siprang grow mein hua tha! Unko naabhikiye bhotik ka janak mana jata tha! Radiodharmita par apne yogdan or sone ki patti ke dwara prmanu ke naabhik ki khoj ke liye we bahut prasidh hue 1908 mein unko nobel puraskar mila RUTHERFORD KA PRMANU MODEL Arnest rutherford yeh janne ke ichuk the ki electron prmanu ke bhitar kese wyawasthit hai!unhone ek pryog kiya! Is pryog mein,tej gati se chal rahe alfa kano ko sone ki panni par takaraaya gayaa! * inhone sone ki panni islye chuni kyonki we bahut patli parat chaahte the! Sone ki yeh panni 1000 prmaanuo ke braabar moti thi! *alfa kan dwiaawesit hiliyam kan hote hain ata: yeh dhanaaweshit hote hai! Chunki inka drawyeman 4u hotaa hai isliye tirw gati se chal rahe in alfa kano mein pryapt urja hoti hai! * yeh anuman tha ki alfa kan sone ke prmanuo mein vidyeman awparmanuk kano ke dwara wikshepit honge! Chuki alfa kan protin se bahut adhik bhari the, isliye unhone inke adhik vikshepan ki aasha nahi ki thi!...

No comments:

Post a Comment