Wednesday 28 August 2013

THE GREAT GALILEO GALILEI

 

The Great Galileo Galilei: galileo galilei ka janm 15 feb san 1564 mein itli ke pisa sahar mein hua tha !galileo galilei ki bachpan se hi math or prakartik darsan mein ruchi thi prantu pita vinenjo galilei, unhe ek chikitsak banana chahate the! Tadnusar galileo ne san 1581 mein chikitsa upadhi ke liye pisa viswvidhaly mein namankan liya! Is pathyekram ko we kabhi pura nahi kar paye kyonki unki wastwik ruchi math mein thi! San 1586 mein unhone apni pratham wegyanik pustak 'the litil blance'(laa welensita) likhi ,jismen unhone ek tula dwara pdarthon ke aapekshik ghanatw (athwa visist gurutw) prapt karne ki arkmdiz ki vidhi ka warnan kiya! San 1589 mein unhone apni nibandh shreni 'D MOT' mein nat samtal ke pryog se kisi girti hui wastu ke girne ki dar kam hone sambndhi apne sidhant ko waykt kiya!

No comments:

Post a Comment