Thursday 29 August 2013

THE GREAT Niels Bohr

Niels Bohr -niels bohr(1885-1962) ka janm 7 Oct,1885 mein kopenhegan mein hua tha! 1916 mein kopenhegan vishvwidhalye mein unko bhotikshastr ka profesar niyukt kiya gayaa! 1922 mein unko prmaanu ki sanrachna par aadharit 3 pustake prkashit hui- 1. The theory of spectra and atomic constitution 2. Atomic theory , and 3. The discription of nature bohr ka prmaanu model:-> radarford ke model par uthi aapattiyo ko dur karne ke liye, niels bohr ke prmaanu ki sanrachna ke baare mein nimnlikhit awdharnaye prastut ki- ¡. Electron kewal kuch nischit kakshao mein hi chakkar lagaa sakte hain, jinhe electron ki vivikt kaksha kahete hain! ¡¡. Jab electron is vivikt kaksha mein chakkar lagaate hain,to unki urja ka vivikt nahi hota hai!...

No comments:

Post a Comment